In Sard Hawaaon Ko Jaane Kaise
Mere Thikaanon Ka Pata Chal Jaata Hai,
Un Sunsaan Sadkon Par Bhi Aa Dhamakti Hai
Jahaan Parinda Bhi Aane Se Ghabraata Hai,
Mai Aksar Apni Dhadkanein Sun.Ne Ke Khatir
In Veeraon Me Chala Aata Hoon,
Yaan Bhi Sukhe Pat.Ton Ki Sarsarahat Se
Iski Khamoshi Me Khalal Paata Hoon,
In Hawaon Ki Chubhan Bhi Jaane Kya
Tatolti Hai Mere Is Zism-O-Jaan Me,
Bheetar Bhi Khudko Eise Hi Sameta Hai
Mai Jeisa Baahar Se Simta Sa Nazar Aata Hoon,
Kaash Ke Laut Aaye Wo Gujre Pal
Jo Paheli Bankar Hi Reh Gaye,
Is.Se Pehle Ye Mausam Phir Garmaae
Ey Jindgi Mai Bas Theher Jaana Chahta Hoon