In Dardon Ke Kitne Rang Dekhe,
Har Dour Ke Dard Ke Azab Dhang Dekhe
Pencil Ka Kho Jana Bhi Ek Dard Tha,
Homework Na Nipta Pana,
Usase Bhi Bada Dard Tha,
Result Me Kam Percentage Pana Bhi Ek Dard Tha,
Aur Padosi Ka Mujhse Achche Marks Lana,
Usase Bhi Bada Dard Tha
Paise Na Hone Ke Karan Picnic Par,
Na Ja Pana Bhi Ek Dard Tha,
Jo Dost Picnic Gaye Uske Kisse Sunna,
Usase Bhi Bada Dard Tha,
Ibtda-E-Jawani Me Kisi Hasina Ki Apni Aur,
Tavazzo Ka Na Hona Bhi Ek Dard Tha,
Aur Apne Kisi Khas Dost Ki Aur Uski Tavvazo,
Ka Hona Usase Bhi Bada Dard Tha,
Mehbooba Ka Milna Bhi Dard Tha,
Aur Bichadna Usase Bhi Bada Dard Tha,
Noukari Ka Na Milna Bhi Ek Dard Tha,
Milne Ke Baad, Nikala Jaana Usase Bhi Bada Dard Tha
Har Dard Ka Ehsaas Bas Dard Hi Raha Yaaron,
Na Kabhi Kam Raha Dard Na Bada Dard Tha
Dard Ki Dastan Ka Kya Bayan Kare Bekrar
Ise Batana Bhi Dard Hai, Chupana Uase Bhi Bada Dard Tha