Ilaahi Kya Mohabbat Ka Sila Hai,
Mein Usko Woh Kisi Ko Sochta Hai,
Hamin Mein Saana Leta Tha Kabhi Jo,
Hamin Mein Aadmi Woh Mar Gaya Hai,
Tu Charagar Madawa Kya Karega,
Hamara Zakhm-E-Dil Jab Laadawa Hai,
Kabhi Basta Tha Jo Dil Me Hamare,
Paraii Aankh Ka Kaajal Bana Hai,
Koi Ummid Tum Usse Na Rakhna,
Hamein Maalum Hai Woh Bewafa Hai,
Shikan Lafzon Pe Mere Aa Gaii Kyun,
Woh Chup Reh Ke Bhi Kya Kya Boltaa Hai.

By Shabnam Sultana ‘Ada’