Ikrar Karne Se Pehle Hi Hamne Udasi Ka Jaam Pi Liya Hai
Jab Jana Ke Unhon Ne Kub Ka Kisi Or Ka Pyaar Pa Liya
Hum Kyun Nahi Samjhte Ke Mohabbat Mere Nasib Main Nahi
Jo Aaj Phir Se Rah-E-Ishq Ko Azma Liya Hai
Pyaar Nahi To Dosti Hi Sahi Unka Saath Hi To Chahte Hain
Par Kyun Un Se Baar Baar Mil Kar Hum Yun Gabrate Hain
Chahat Ke Phul To Khilte Hai Roz Hi Mager
Hum Ne Unhein Dil Main Aik Raz Ki Tarha Chupate Hain
Si Liye Hai Honth Band Kar Li Hai Aankhen
Aise Hi Ab Wafa-E-Dosti Aada Karte Hai
Duan Main Mangi Un Ki Khushi Aur Salamti
Par Khud Ab Roz Gut Gut Kar Marte Hain