Ik Umr Wahi Wahi Si Baatien Or
Ekk Umr Unhi Kisson Ko Dohraate Rahe
Kuchh Naya Naa Gujra Unke Baad Is Jindgi Mein
Ekk Umr Ham Wahi Puraani Si Jindaagi Bitaate Rahe,
Har Shaksh Do Naavon Mei Safar Karta Tha
Har Shaksh Bas Maukon Kii Fikar Karta Tha
Ham Aadmi Kuchh Puraane Se Reh Gaye
Jo Raah Ekk Baar Pakdi Usi Raah Per Jaate Rahe,
Koi Kehta Apni Chaal Sudhaaro
Koi Kehta Apne Baal Sanwaaro
Apni Ummeed Kaheen Gum Ho Gai Thi Or
Ham Ye Baathar Ekk Se Chhupaate Rahe
Kambakht Nasha Bhi Kuchh Eisa Lagaaya
Ke Ekk Umr Wo Zehen Se Naa Utar Paaya
Wo Chaand Apne Haal Per Muskuraata Raha Or
Ham Paaglon Se, Uski Muskuraahat Pe Itraate Rahe
Sochte The Ke Shaaayad Kuchh Waqt Me
Ye Kadi Si Dhoop Bhi Gujar Jaayegi
Wo Sooraj Kuchh Is Kadar Jalaa Gaya Tan-Mann..
Ke Chaand Paane Ke Armaan Tak Jaate Rahe.