Ik Mauj-E-Samndar-E-Qaynaat Hai Zindagi
Khud Hi Jwaab Aur Swaalaat Hai Zindagi
Khud Ki Talaash Yeh Safar-E-Hyaat
Abhi Din Ki Aarzu Ab Justju-E- Raat
Kuch Jaani Pehchani Raahon Pay Umron Kay Qaafilay
Ghardish-E-Doraan Main Pinha Manzilain
Kabhi Manzil Ka Pa Laina Phir Us Say Uqta Jaanaa
Ye Shauq-E-Manzil Nahi Shayud Jeenay Ka Buss Bahaanaa
Jab Bar Gayi Bahut Tanhai Banaya Phulsupha-E-Khudai
Batui Banayay Banai Azaanain Phir Sajaai Rishton Ki Dukaanain
Jab Jab Bhee Khud Say Uqtaiya Insaan
Daur-E-Wehshat Main Laut Aayaa Insaan
Is Hajum-E-Zindagi Main Tanha Hai Her Koi
Buss Giraphat-E-Khwaab-E-Bahaanaa Hai Her Koi
Ik Bhatkan Umr Kay Janglon Main
Liyay Beqasi-E-Namalum Dilon Main
Her Koi Jiyay Jaataa Hai Dard-O-Masarrat
Kay Ajab Sangam Ko Unwaan-E-Zindgai Diyay Jaataa Hain