Ik Kahani Har Kisi Ki Mukhtalif Si Mukhtalif Si
Har Kahani Ki Rawani Mukhtalif Si Mukhtalif Si
Ek Ladke Ke Zehen Ki Mukhtasar Si Khwahishen
Ek Sajani Ho Jo Uski Mukhtalif Si Mukhtalif Si
Haan Usay Ye Chahiye Aur Haan Usay Wo Chahiye
Chaahatein Phir Bhi Sabhi Ki Mukhtalif Si Mukhtalif Si
Ek Pagli Har Kisi Ko Bas Ye Batlaati Phiray
Uskay Saajan Ki Adaayen Mukhtalif Si Mukhtalif Si
Har Kisiko Jab Dia Hai Ek Dharti Aasamaan
Phir Bhi Taqdeerein Likhi Hain Mukhtalif Si Mukhtalif Si
Umra Bhar Chalta Musafir Hamnazar Hota Hua
Har Safar Ki Har Nazar Thi Mukhtalif Si Mukhtalif Si
Ek Shayar Ki Ghazal Bas Ek Si Hi Kehti Hai
Har Beher Ki Koshishen Hain Mukhtalif Si Mukhtalif Si