Ik Din Wo Mere Aib Ginaane Laga Farag
Jab Khud Hii Thak Gayaa To Mujhe Sochanaa Padaa
Mujhako Tha Gumaa.N Ke Mujh Mein Hain Ekk Adaa
Wo Dikhaane Laga Aainaa To Mujhe Sochanaa Padaa
Pehle Bhii Gumaan Hua Thaa Naa Ho Ishq Kaa Izhaar
Hans Ke Wo Jab Mila To Mujhe Sochana Padaa
Uski Ik Sadaa Pe Chod Aaye The Sab Apna
Usne Raah Se Hata Diya Tau Mujhe Sochana Pada
Abr-E-Bahaaraan Sa Kabhi Chuuma Jin Deeda-E-Tar Ko
Samajh Phool Masal Gaya To Mujhe Sochana Padaa
Jadh Se Ukhade Shajar Pe Tau Kuch Bhi Nahin Giraan
Usne Siine Pe Paanw Rakhaa To Mujhe Sochana Padaa
Maangte Rahe Khuda Se Jiski Khushiyaan Ta-Umr
Wohi Tohmat Laga Gaya To Mujhe Sochana Pada
Ehatyatan Jabiin Jhukayi Thi Udaasi Chupane Ko
Wo Khud Pe Nazaan Hua To Mujhe Sochna Padha
Zikr Kahan Paras Kaa Haqdaaron Mein Chahat Kii
Usne Haq Se Zaleel Kiya To Mujhe Sochna Padaa