Ik Anjaani Rahguzar Par Chal Raha Hoon Main
Chhuppa Hua Hai Aftaab. Andhera Hi Andhera Hai,
Phir Yeh Kis Tapash Mein Jal Rahaa Hoon Main?
Naah Umeed Hai Koi Naah Hai Koi Aasha,
Yeh Andhere Dekh Rahen Hain Meri Barbaadi Ka Tamasha
Ik Mazaak Sa Lagne Lagi Hai Zindagaani Ab
Chaahat Hai Ki Khatam Ho Jaaye Yeh Kahaani Ab
Magar Chahatein Agar Poori Hoti,
To Hum Is Mauqaam Par Na Hote
Rone Se Agar Gham Mit-Ta To Hum Phoot Phoot Kar Rote
Yeh Teergi Jaise Mera Alam Ban Chuki Hai
Chaha Tha Tujhe Magar Yeh Tanhaai Mera Baalam Ban Chuki Hai
Zindagi Se Haar Kar Maut Ko Bhi Azmaaein Gey,
Kambakht Woh Bhi Bewafa Nikli To Phir Kahaan Jaayen Gey
Zakhm Itne Mile Hain Zandagi Mein
Ki Dard Kahaan Se Uth-Ta Hai Kuchchh Pata
Nahin Chalta Sambhaalna Mushkil Hai Isse,
Jab Yeh Dil Hai Machalta Magar Andheri Rahon Se Guzarke Bhi
Zandagi Ko Jeena Hai Mujhe Ghamon Ka Saagr Hoon Main,
In Dard Bhari Nadhi-On Ko Peena Hai Mujhe
Chaahta Hoon, Bas Ik Baar Khabar Mil Jaaye,
Ki Kis Liye Jee Rahaa Hoon Main?
Mere Alfaaz Mein Agar Talkhiyaan
]mehssos Hon Yaaro To Muaaf Kar Dena,
Is Wakht Kissi Ki Yaad Mein Pi Raha Hoon Main.