Id Ka Chand Mere Chand Ne Bhi Dekha Hoga
Us Ghadi Usne Mere Liye Bhi Kuch Socha Hoga
Id K Saath Wabasta Hai Jo Yaade Teri
Meri Har Saans Usi Pal Ki Amanat Thehri
Bheegi Aankhon Mai Tere Naam Ke Aansun Hai Bhare
Dil Mai Jazbaato Ke Tufaan Hai Chupe
Id Aayi Hai Toh Mere Liye Kya Laayi Hai
Id Ke Tohfe Mai Kya Saath Tera Laayi Hai
Id Ka Joda Tere Naam Se Wabasta Hai
Uski Khushrangi Ko Bhi Tere Liye Rakh Chhoda Hai
Khankhanaati Hui Kuch Choodiya Rakh Chhodi Hai Abhi
Jhilmilati Hui Voh Baaliya Vesi Hai Padi
Kese Haatho Mai Koi Rang-E-Heena Therega
Ye Rang Bhi Hai Teri Yaado Se Wabasta
Id Ke Din Mujhko Bhi Toh Hansna Hoga Humdam
Us Hansi Mai Mere Aansun Bhi Ho Jaayenge Gum
Jis Hansi Rutt Mai, Main Tere Sang Chala Karti Thi
Har Qadam Par Hi Meri Id Hua Karti Thi
Id Ke Din Teri Yaadon Ka Hisaar
Mujhko Seene Se Laga Lega Bade Pyar Ke Saath
Chandni Chand Ki Jab Degi Mubaraq Mujhko
Kanpkanpate Hue Honthon Se Yahi Niklega
E-Mere Humnashi, E-Mere Chand…..
Bahut “Id Mubaraq Tujhko”.