Ibtada Me Bhi Mushkil Intaha Me Bhi Mushkil
Tujhe Door Jakar Bhulana Bhi He Bada Mushkil
Zamane Ki Bheed He, Anjan Si Dagar
Yun Tanha Chalte Jana Bhi He Bada Muskhil
Har Manzar Pe Muskurane Ki Aadat Si He Mujhe
Har Gham Yun Pee Jaana Bhi He Badaa Mushkil
Aksar Subah Hote He Me So Jataa Hun
Ta Umr Ankho Ko Jagana Bhi He Bada Mushkil
Manzil Ki Talash Me Har Roz Raah Badaltaa Hun
Raston Ka Lutf Uthana Bhi He Badaa Mushkil
Jise Yaad Karke Dil Munawwar Hota Tha Kabhi
Uski Yadon Ko Bachana Bhi He Badaa Mushkil
Har Mod Pe Koi Ek Sathi Chhoot Jaata He
Aise Mod Se Guzar Jaana Bhi He Bada Mushkil
Rahat Na Do To Thokar Bhi Na Lagao Mujhe
Apno Se Thes Khana Bhi He Bada Mushkil
Har Pal Tumhari Yaad Me Jalta Raha Hun Me
Dil Ki Aag Bujhana Bhi He Bada Mushkil
Dil Se Mere Chiragh Ki Lo Haar Jaati He
Har Shab Dil Jalaana Bhi He Bada Mushkil
Chahat He Mujhe Aasmaan Choone Ki Magar
Kaghaz Ke Par Udana Bhi He Bada Mushkil
Honslan He To Kuch Bhi Mushkil Nahi ‘ Rashid’
Wese To Zinda Rahna Bhi He Badaa Mushkil