Ibaadat Main Jiss Ke Vaaste Hum Ne Acchi Si Sehat Maangi
Hamein Bhuul Jaane Ki Ussi Ne Khudaa Se Mannat Maangi
Acchi Sehat : Good Health , Mannat : Kaamna-Siddhi Ke
Liye Pooja Karne Ka Sangkalp
Tanhaai Hai Siqaalat Banii Katta Nahin Akelaa Tanha Safar
Rangat Kismat Ke Rukh Se Udee Uss Ki Jo Sohbat Maangi
Siqaalat : Burden , Sohbat : Companionship (Saath )
Kudrat Ke Bane Houe Iss Khaak Ki Ju-‘rat Ka Bhi Kya Kehna
Aasmaan Ki Or Nazar Uthaaya Aur Sitaare Ki Soorat Maangi
Ju-‘rat : Boldness ( Himmat ) Soorat : Aspect, Appearance
Aahat E Mehbooba Sun.Ne Ko Ki Meine Akhtar-Shumaarii
Seher Se Goshon Ne Baam E Nasimaa Ki Sarsarahat Maangi
Akhtar-Shumaarii : To Count Stars ( Sleepness Night )
Gosh : Ear , Baam E Nasimaa : Sweet Morning Breeze
Sarsarahat : Murmur
Raushan Chiraag-E-Mehfil Kiya Ab Baaqii Hai Teyl Na Baati
Bujhte Lau Se Akaarat Patange Ne Roshni Ki Shiddat Maangi
Lau : Flame , Akaarat : In Vain , Patanga : Moth
Shiddat : Intensity
Sharaab Chutaa Magar Raah E Maikadaa Chhodi Jaati Nahin
Hairaan Mat Ho Saaqii Agar Meine Shishii E Sharbat Maangi
Shishii E Sharbat : Bottle Of Juice
Aadat Ki Zanjeeron Se Hurriyat Paana Badi Hi Hai Mushkil
Fusuul Kissi Ne -‘amanush-‘ Se Farishton Ki Si Seerat Maangi
Hurriyat : Freedom, Fusuul :in Vain ,Seerat : Quality, Nature
Qayaamat Se Iltija Hai Meri,Yaarab, Ki Wo Nind Se Na Jaage,
Ab Talak Jhukaa Kar Sar Meine Baraqqat Na Shafqat Maangi
Iltija : Supplication , Yaarab : O God , Baraqqat : Blessing
Shafqat : Mercy