Husn-E-Mah Garche Bahangaam-E-Kamaal Achcha Hai
Usse Mera Mah-E-Khursheed-E-Jamaal Achcha Hai
Bosa Dete Naheen Aur Dil Pe Hai Har Lahja Nigaah
Jee Mein Kehte Hain Muft Aaye To Maal Achcha Hai
Aur Baazaar Se Le Aaye Agar Toot Gaya
Saaghar-E-Jam Se Mera Jaam-E-Sifaal Achcha Hai
Betalab Dain To Maza Usme Siwa Milta Hai
Woh Gada Jisko Na Ho Khoo-E-Sawaal Achcha Hai
Unke Dekhe Se Jo Aa Jaatee Hai Munh Par Raunaq
Woh Samajhte Hain Ke Beemaar Ka Haal Achcha Hai
Dekhiye Paate Hain Ushshaaq Buton Se Kya Faiz
Ik Birahaman Ne Kaha Hai Ke Yeh Saal Achcha Hai
Ham Sukhan Teshe Ne Farhaad Ko Sheereen Se Kiya
Jis Tarah Ka Bhee Kisee Mein Ho Kamaal Achcha Hai
Qatra Dariya Mein Jo Mil Jaaye To Dariya Ho Jaaye
Kaam Achchaa Hai Woh Jiska Ma’aal Achcha Hai
Khijr Sultaan Ko Rakhe Khaaliq-E-Akbar Sar_sabz
Shaah Ke Baagh Mein Yeh Taaza Nihaal Achcha Hai
Hamko Ma’aloom Hai Jannat Ki Haqeeqat Lekin
Dil Ke Khush Rakhne Ko ‘Ghalib’ Yeh Khayaal Achcha Hai