Hun Main Pathik Aur Dhundti Hun Rasta
Apni Manzil Par Jane Ke Liye
Dikhta To Hai Dhundla Sa Chitr Mujhe
Par Kathin Bahut Hai Mere Rasta
Pathron Se Saji Hain Rahein Meri
Aur Us Par Main Tanha Mera Safar Tanha
Kya Par Main Ja Paungi?
Raahon Ko Apni Kya Phoolon Se Bhar Paungi
Kya Hoga Agar Main Thak Kar Ruk Gayi
Aur Un Patharon Par Main Gir Gayi
Kya Koi Aisa Ayega
Jo Mujhe Yeh Rasta Par Karaega
Dega Woh Sath Manzil Tak Meri
Ya Woh Bhi Mujhe Akela Chod Jayega
Nahi Pata Mujhe Kis Aur Main Ja Rahi Hoon
Raasta Sahi Hai Ya Galat Disha Mein Behti Chali Ja Rahi Hoon
Kaash Koi Aa Jaye Mere Paas
Jo Khole Ye Unsulza Sa, Dhundla Sa Yeh Raaz