Humne To Vadiyon Se Takrane Ki Jurrat Ki Thi
Toofanon Mein Utar Jaane Ka Tha Irada Humara
Hum To Mushkilon Ke Dariya Ko Sehlane Ka Jazba Rakhte The
Har Khauff Par Ho Kaboo, Aisa Khud Se Tha Vada Hamara
Akele Raaston Par Chalne Ki Koshish Ki Thi
Hum Bechaini Ke Sayon Ko Peeche Chhod Aye The
Dil Mein Josh Liye Hum Bade The Hamesha
Hum To Lehron Ke Rukh Ko Hi Mod Aye The
Par Achanak Waqt Ne Saman Kuchh Aisa Bandha
Aur Zindagi Ke Pannon Mein Kuchh Baatein Yun Hui
Sahem Gaya Yeh Saara Karavan
Jab Chalte Chalte Khud Se Kuchh Mulakatein Yun Hui
Hum To Woh The Jo Kabhi Ashq Tak Bahate Nahi The
Hum To Lehron Se Ladkar Bhi Us Par Gaye
Par Afsos Is Dard Bhare Dil Ki Siskiyan Bardasht Na Kar Sake
Hum To Kambhakt In Jazbaton Ke Haaton Hi Har Gaye