Hume To Lutf Mila Hai Bala Ka Rahne Do,
Abhi Waqt Lagega Pahla Nasha Jaane Tak.
Abhi To Labon Pe Uske Hi Geet Rahte Hain,
Jara Thahro To Ye Nazm Gungunaane Tak.
Mujhe Khwahish Hai Kuchh Pal Ko Jee Lene Do,
Unke Bas Ek Dafaa Aur Muskuraane Tak.
Lagta Hai Abhi Ye Dil Na Maanega,
Abhi To Aur Dum Baaki Hai Baaz Aane Tak.
Tum Kahte Ho Unko Yaad Aayen Hum, Chhodo!
Bada Waqt Laga Hoga Mujhe Bhulaane Tak.
Jo Dheere Dheere Chal Rahi Hai Kya Chalne Dein?,
Hawa Ka Rukh Pahchaanenge Baag Ujadjaane Tak.
Us Se Milkar Khud Ko Hi Bhool Baithe Hain,
Yakeen Hota Nahi Aaeene Ke Paas Aane Tak.
Usi Diye Ne Mera Ashiyaan Jala Dala,
Jise Aarh De Raha Tha Toofaan Jaane Tak.
Nazar Khwabgahon Ki Veeraan Deewarein Takti Hai,
Neend Aatee Nahi Koi Khwab Naya Aane Tak.
In Raaste Ke Pattharon Ka Ilm Tha Mujhko,
Par Sambhalna Chaha Nahi Thokar Khaane Tak.
Chalo Ab -Ë—tanha-‘ Apni Yaadon Ke Saath Chalte Hain,
Intzaar Hota Nahi Kisi Ke Ab Uthaane Tak.