Hum Uska Andaaz-E-Qaatilana Dekhte Rahe
Shiriin-E-Lab Se Dil Ka Lubhaana Dekhte Rahe
Karta Raha Waada Wo Ehsaas-E-Jamaal Kaa
Hum Parey-Â…jaan Ka Aana Jaana Dekhte Rahe
Wo Na-Tars, Aaya Na Aana Hee Thaa Usko
Hum Uska, Har Jhuutha Bahaana Dekhte Rahe
Kaha Usne Ki Koyi Rabt Na Thaa Humse
Gumsum Ham Dil Ka Kumlhaana Dekhte Rahe

Wo Karta Raha Faasle Musalsal
Hum Uska Saahil Badhaana Dekhte Rahe
Mehram-E-Dil Ko Har Fan Mein Thii Mahaarat
Uska Seene Pe Qahar Dhaana Dekhte Rahe
Yaadein Dil Sitan Ki Aayein Toot Toot Phir
Badan Cheer Jaan Ka Guzar Jaana Dekhte Rahe
Zahar Misri Mein Ghol Pilaata Gaya -Ë—paras-‘
Haaye! Hum Uska Muskuraana Dekhte Rahe