Hum Un Ko Jawoun Se Bulaate Rahey Hain
Shab-O-Roz Sapne Sazaatey Rahey Hain
Sanam Ka Patah Aur Pahchaan Kya Hai
Azal Se Yahee Budbudaatey Rahey Hain
Humain Kya Pata Tha Ki Woh Hain Qareebee
Sare Aam Pahloo Mein Aatey Rahey Hain
Kabhi Un Ney Shafqoun Mein Soorat Dikhaayee
Kabhi Ban Key Woh Abra Chhaatey Rahey Hain
Tumhaarey Hain Ham Tum Hamaarey! Patah Hai
Magar Fir Bhi Ham Door Jaatey Rahey Hain
Hameen Unko Pahichaan Paaye Na Ab Tak
Woh Har Waqt Nazaroun Mein Aatey Rahey Hain
Woh Hain Khaas Apney Gilaa Kyoun Karain Ham
Rah-E-Zeest Par Roz Paatey Rahey Hain
Ta’alluq Hamaaraa Hai Katm-E-Adam Sey
Jisey Ham Abhi Tak Chhupaatey Rahey Hain
Ham Un Ko Tah-E-Dil Sey Hain Chaahtey Par
Woh Har Dam Yahee Aazmaatey Rahey Hain
Ab Un Se ‘Abd’ Kya Kahain Baat Dil Ki
Jo Har Roz Hum Ko Jalaatey Rahey Hain