Hum To Yun Khush The Ke Ek Taar Garibaan Mein Hai
Kya Khabar Thi Ke Bahar Uske Bhi Armaan Mein Hai
Ek Zarb Aur Bhi Ae Zindagi Tesha-E-Badast
Saans Lene Ki Sakat Ab Bhi Meri Jaan Mein Hai
Main Tujhe Kho Ke Bhi Zindaa Hun Ye Dekhaa Tuune
Kis Qadar Hoaslaa Haare Hue Insaan Mein Hai
Faasle Qurb Ke Sholon Ko Hava Dete Hain
Main Tere Shh-‘r Se Dur Aur Tu Mere Dhyaan Men Hai
Sar Diivaar Farozaan Hai Hai Abhii Ek Chiraag
Ai Naseem-E-Sahri Kuch Tere Imkaan Men Hai
Dil Dharakne Kii Sadaa Aatii Hai Gaahe Gaahe
Jaise Ab Bhii Terii Aavaaz Mere Kaan Men Hai
Khalqat-E-Shah-‘r Ke Har Zulm Ke Bawasaaf -Å—faraz-
Haaye Vo Haath Ke Apne Hi Gariibaan Men Hai