Hum Se Khataa Hoti Hai Jab Sazaa Dilaane Ki Baat Karti Hai
Unn Se Magar Bhool Hoti Hai Bhuul Jaane Ki Baat Karti Hai
Zaraa Si Sharaarat Karne Ki Jasaarat Kabhi Uthaayi Humne
Naraazgi Main Alvida Keh Kar Chhod Jaane Ki Baat Karti Hai
Mere Chaahne Ke Tareeke Se Khudaa Ko Bhi Jalan Hoti Hai
Iss Par Bhi Unn Ko Majnun Jaise Chaahne Ki Baat Karti Hai
Thoda Sa Intezaar Hamara Na Kar Saki Wo Aur Jaate Jaate
Milnaa To Door Khwaab Main Bhi Na Aane Ki Baat Karti Hai
Kitaab-E-Zindagi Ke Fasl* Main Mera Naam Aata Hai Jahaan
Wahaan Ka Har Pan.Na Phaar Kar Jalaane Ki Baat Karti Hai
Baat Karne Ki Ijaazat Unse Milti Bhi Hai To Badi Mushkil Se
Aane Waale Unke Payaam Ki Raah Taakne Ki Baat Karti Hai
Ek Baar Hi Sahi Wo Kahe To Sau Saal Tak Ji Legaa ‘Amanush’
Par Afsos,Judaai Ka Zeher Hamein Pilaane Ki Baat Karti Hai