Hum Maa Kaa Pyaar Mom Bana Kar,Lutate Jaa Rahe Hai.
Apni Sabhyata Ko Mom Banake,Pighlate Jaa Rahe Hai.
Dhoti Ko Humne Phar Phar Kar,Rumaal Kar Diya.
Apni Sabhyata Ko Tamacha Mar Mar Kar,Uska Muh Laal Kar Diya.
Apni Behudgiyon Ko Naam Diya,Humne Fashion.
Are Yahan Logon Ke Paas Khane Ko,Nahi Hain Rashan.
Aaj Ladkiyon Ka Sarak Par Chalna,Ho Mushkil Raha Hain.
Phir Bhi To Fashion Humare,Samaj Me Khil Raha Hain.
Apni Sabhyata Ke Neewon Ko Is Kadar,Se Humne Jo Diya Hila.
Par Hume Sirf Auraton Mein Julm Aur,Haya Ke Lop Ke Siwa Kya Mila.
Main Nahii Kehta Fashion Bura Hain,Par Har Cheez Kii Buri Hain Ati.
Par Hum To Kuchh Is Kadar Badh Gaye,Kii Apni Hii Ho Gayi Durgati.
Fashion Karo Par,Naa Hone Do Iski Ati,
Kahin Apni Sabhyata Hii,Naa Ho Jaye Sati.
Kyunki,Husn Humesha,Pardon Mein Hii Khilta Hain.
Bahar Aane Par Aaj Use,Sirf Tiraskar Milta Hain.