Hum Koi Jag Se Niraale To Nahin Hain!
Hum Bhi Us Waqt Main Jeete The Jahan
Titliyan Khwaab Hain Aur Phool,
Shahar Hum Ko Bhi Muqaddar Main Mila Hai Jis Main
Dharkane Gum Hain Aur Shor Se Hoo Ka Alam
Hum Bhi Us Ke Makeen Hain Ki Jahan
Waqt Ke Sath Bujh Jaati Hai Is Umr Ki Lau
Ek Bemasraf-O-Benaam Iraade Ki Tarah
Hum Bhi Logon Ki Tarah Hain Ki Hume
Dukh Chupaana Bhi Hai Aur Hansna Sar-E-Baazaar Bhi Hai
Hum Par Bhi Ahad-E-Jawaani Ka Azaab Utra Hai
Humne Bhi Door Kisi Shahar Main Baste Hue, Hanste Hue,
Ek Shaqs Ko Chaha Hai Bohot
Un Hawaon Ko Sada Jaana Hai
Jaise Us Shahar Se Paighaam-E-Wafa Laayee Hain
Dharkane Ansoo To Nahin Hai Lekin
Humne Gin Gin Ke Ganwai Hain Kisi Shaqs Ke Naam
Hum Niraale Hi To Hain!
Humne Is Gham Ko Gham-E-Jaan Sa Bana Rakha Hai
Umr Jis Main Na Koi Aas, Na Ansoo, Na Hansi,
Humne Us Umr Ka Afsaana Bana Rakha Hai!
Makee=rehne Wala
Bemasraf=without Any Reason
Sada=awaaz