Hum Ko Apna Mante Ho To Ye Bataao Itne Pareshaan Kyon Ho
Khud Ko Zakhmi Karne Wale Teeron Ki Bani Kamaan Kyon Ho
Teri Muskanon Ke Sitaaron Se Rahit Teri Hi Mehfil Bejaan Hai
Mayusi Ko Youn Gale Lagaye Bani Amaavasi Asmaan Kyon Ho
Tanhaai Ghamon Ko Panaah Dene Wala Ek Oujra Makaan Hai
Ouski Yaadon Ka Saaman Liye Wahan Bani Mehmaan Kyon Ho
Gar Kissi Ke Phir Laut Aane Ka Intazar Karna Tera Armaan Hai
To Ouss Ki Raah Main Mashaal Jalaaojalaate Zabaan Kyon Ho
Pyar Ki Baas Se Tere Baag Na Mehke To Tou Kyon Hairaan Hai
Jahan Phool Na Khile Eisse Chaman Ki Bani Bagbaan Kyon Ho
Jisske Toum Dhyaan Main Khoyi Ho Wo Ek Sangdil Insaan Hai
Toumne Khud Apna Nuksaan Kiya Toum Itne Nadaan Kyon Ho
Eh Khouda! Ishk Ke Mazbe Par Aashik Kyon Hota Qurbaan Hai
Pyaar Karne Waalon Ke Ansouon Se Hi Likhte Dastaan Kyon Ho
Ab Ye Na Kaho Ki Tou Mere In Aasaan Sawaalon Se Anjaan Hai
Varna Jahaan Main Insaan Pouchega Ki Tum Yazdaan Kyon Ho
Koyi Kahe Ishk Toufaan Hai To Aur Kahe Ki Ye Ek Imtihaan Hai
Par -Ë—amanush-‘ Toum Isse Samajhte Yudh Ka Maidaan Kyon Ho