Hum Jeete Hain Sar-E-Aam Teri Yaad Ke Saath
Aaj Phir Guzri Ek Shaam,Teri Yaad Ke Saath
Haathon Ki Lakeeron Se Nikalker Tu Na Jaane Kahaan Gayi,
Reh Gayaa Tera Naam,Teri Yaad Ke Saath
Aajphir Guzri Ek Shaam,Teri Yaad Ke Saath,
Hum Kaheen Niqal Gaye, Tum Kaheen Chale Gaye
Reh Gaya Dil-E-Nadaan, Teri Yaad Ke Saath
Aaj Phir Guzri Ek Shaam, Teri Yaad Ke Saath
Kuch Teri Tasviren, Mere Haathon Ki Lakeeren
Ye Hain Jeene Ke Samaan, Teri Yaad Ke Saath
Aaj Phir Guzri Ek Shaam, Teri Yaad Ke Saath
Ik Bechaine La-Ilaaz, Aankhon Mein Ashkon Ka Sailaab
Mujhe Ye Sab Mile Inaam, Teri Yaad Ke Saath
Aaj Phir Guzri Ik Shaam‚  Teri Yaad Ke Saath
Ek Jang Si Jaari Rahi, Ta-Umr Mere Zehan Mein
Muqabla Mustaqbil Banaam ,Teri Yaad Ke Saath
Aaj Phir Guzri Ik Shaam, Teri Yaad Ke Saath
Ta-Umr—Whole Life
Mustaqbil-–future
Banaam—Versus
Na Tu Hai Na Teri Aas, Na Hasrat Na Zindgi Ki Pyas
Bas Jee Raha Hai Gulaam, Teri Yaad Ke Saath
Aaj Phir Guzri Ik Shaam, Teri Yaad Ke Saath
Wafaa Kerne Ka Bhee Alag Hi Mazaa Hai -Ë—Karan-‘
Yaad Aaya Mujhe Wo Kalaam, Teri Yaad Ke Saath
Aaj Phir Guzri Ik Shaam, Teri Yaad Ke Saath