Hum Doub Rahay Thay Sahil Par Tinkon Kay Saharay Kya Kartay
Hum Akhir-E-Shub Kay Aanso Thay Yeh Chand Sitaray Kya Kartay
Manzil Ki Ghird Mein Gum Kar Tufaan-E-Talatum Aur Bharha
Aisay Mein Shikasta Nao Kay Kamzoor Saharay Kya Kartay
Jub Aankhen Bhi Bay Noor Huwein Kya Faida In Rangoon Ka
Jub Dil Apna Ranjor Huwa Pur Lutf Nazaray Kya Kartay
Duniya Mein Aa Kar Dekha Hai Yeh Rishtay Jhotay Rishtay Hain
Gar Chand Zameen Par Aajata Palkon Pay Sitaray Kya Kartay
Jeenay Kay Liye Darkar Thi Aik Chothi Si Musarat Hum Ko Nida
Jub Sub Kuch Apn Luta Bethay Hain Yeh Ashk Bicharray Kya Kartay