Hum Bhi Kaisi Bhool Kerte Rahe
Duniya Ko Chor Ker Sirf Is Dil Ki Hi Sunte Rahe
Aik Adhoore Sapne Ko Poora Samjhte Rahe
Jis Ne Apna Kar Bhi Humein Paraya Hi Samjha
Uss Bewafa Ke Liye Hum Ishq Ki Haddein Paar Kerte Hi Rahe
Hum Bhi Kaisi Bhool Kerte Rahe
Zakhmon Ko Chupaa Ker Hum Muskuratay Hi Rahay
Dard Ko Bhulaa Ker Hum Gaatay Hi Raha
Jo Na Apna Thaa Ussi Say Pyaar Kertay Hi Rahay
Rokna Chaha Apnay Aapko Phir Bhi Uskayliaye Martay Hi Rahay.
Subho Shaam Din Raat Intezar Kartay Hi Rahay
Chaahat Mein Uski Hum Thokarayn Khaatay Hi Rahay
Apnay Wajood Ko Bhula Ker
Khuda Say Unki Khushi Kaliay Duaaeyn Partay Rahay
Woh Tou Humayn Bhool Ker Aagay Chaltay Gayay
Aur Eik Hum Hain Jo Eik Bhool Kertay Hi Rahay