Hum Badi Door Chale Aaye The Chalte Chalte
Hum Gayi Badi Der Ab Kaise Sambhalte
Jab Hua Ehsaas E Mohabbat To Yeh Paaya Humne
Har Ek Jazbaat E Mohabbat Ko Deen Samagh Ke Nibahaya Humne
Aapke Dil Kishama Jalaane Ke Liye‚  Khud Ko Kai Baar Bughaya Humne
Yaad Mein Teri Aye Humdum Mere‚  Aankh Hi Nahi Rooh Ko Bhi Rulaya Humne
Aapki Yaad Mein Yeh Moti Ab Bhi Hain Baraste
Hum Badi Door Chale Aaye The Chalte Chalte
Fir Jab Hosh Aaya To Yeh Khayaal Aaya
Humne Dil Ko Aur Dil Ne Humko Samghaya
Hum Zameen To Asmaan Tum Ho Kahaan Hain Hum Aur Kahaan Tum Ho
Andhera Hum Hain Noor E Jahaan Tum Ho
Siah Raat Hum Ujli Subaah Tum Ho
Bugh Jayenge Yeh Armaan Bhi Jalte Jalte
Hum Badi Door Chale Aaye The Chalte Chalte
Yeh Farq Ab Duniya Mein Aaya Hai
Aur Humne Ab Is Dil Ko Bhi Samghaya Hai
Humaare Saath Chal Kar Tum Kya Payoge
Humaari Veeraaniyoon Mein Gum Ho Jayoge
Apne Saath Kaise Aapko Bhi Sisakne Dete
Hum Badi Door Chale Aaye The Chalte Chalte
Ab Rishtaa Wafa Ka Kuch Yun Nibhayenge Hum
Ki Aapke Dost‚  Sirf Dost Ban Jayenge Hum
Wafa Ab Bhi Karenge Har Mod Par Tumhaare Saath Mein
Yaad Tumhaari Aayegi Ab Bhi Har Ek Baat Mein
Bass Tumse Umeed E Wafa Ka Khayaal Chhor Denge
Jindigi Ka Rukh Ab Hum Kuch Yun Mod Lenge
Tum Kisi Aur Ko Chaho To Bhi Chup Chaap Sahenge
Tum Hamare Na Sahi Hum Sada Tumhaare Rahenge
Paraya Hone Denge Ab Tumko Hanste Hanste
Hum Badi Door Chale Aaye The Chalte Chalte