Hum Aksar Yehh Samajhtay Hai
Jisay Hum Piyar Kartay Hai
Usay Hum Bhul Baithay Hai
Magar Aisa Nahin Hota
Mohabbat Daimi Such Hai
Mohabbat Thair Jaati Hai
Hamari Baat Kay Andar
Mohabbat Baith Jaati Hai
Hamari Zaat Kay Andar Magar
Yeh Kam Nahin Hoti
Kisi Bhi Dukh Ki Soorat Mein
Kabhi Koi Zaroorat Mein
Kabhi Anjaan Se Gham Mein
Kabhi Lehjay Ki Thandak Mein
Udaasi Ki Zaroorat Mein
Kabhi Baarish Ki Soorat Mein
Hamari Aankh Kay Andar
Kabhi Aab-E-Rawan Ban Kar
Kabhi Qatray Ki Soorat Mein
Bazahir Aisa Lagta Hai Usay
Hum Bhool Baithay Hain Magar
Aisa Nahin Hota Magar Aisa Nahin Hota….
Yeh Hargiz Kam Nahin Hoti.