Hone Jaa Rahi Hai Behnaa Meri Paraayii
Soch Se Hi Hai Aankh Meri To Bhar Aayii
Bin Uske Mera Aangan Hoga Kitna Soona
Karoongaa Fir Kisse Har Roz Main Ladhaaii
Paida Hote Hi Uske Zor Se Maara Thha Maine
Ke Kaun Aa Gaya Maa Meri Jisne Churaayii
Yaad Hai Mujhe Woh Pal Jab Bachpan Me Usne
Biscuit Mere Liye Laane Ko Kii Teacher Se Ladhaayi
Ek Baar Sirf Frock Jab Uski Pakdii Thhii Bandar Ne
Chhod De Meri Behna Ko Rokar Maine Thi Awaaz Lagaayii
Yaad Aata Hai Woh Pal Bhi Jab Bhai Se Pit Jaane Par Mere
Ro Rokar Usne Aankh Apnii Thhi Lii Sujaayi
Ghooma Karti Kal Tak To Moonh Me Angootha Daale
Kab Kab Me Itnii Sayaani Woh Ho Aayiii?
Hoti Koi Khushi Usko Yaa Pareshaani Use Sataati
Har Chhoti Se Chhoti Baat Usne Thhi Mujhe Bataayi
Usko Chhede Binaa To Meraa Din Pooraa Nahi Hota
Gaali Usse Sune Binaa Neend Mujhko Kabhi Nahi Aayi
Jaanta Hoon Hai Chhidakti Jaan Woh Apni Is Bhaiya Par
Bhaiya Ki Bhi To Jaan Apni Behna Me Hi Hai Samaayi…
Kaise Bataaon Ke Har Ek Aansoo Girne Par Uske
Nadi Ek Aansuon Ki Main Andar Hi Andar Bahaayii
Hardam Hum Ladhte Hain Par Ek Dooje Par Marte Hain
Kaise Rahoonga Main Jab Ho Jaayegi Woh Paraayii…
Chidhaata Thha Main Hi To Ke Jaayegi Too Yahaan Se
Ab Kyun Naa Jaane Chintaa Hai Mujhe Sataayi?
Yaad Aayegi Tujhko Jab Sasuraal Woh Jaayegi
Baat Yeh Taai Ki Aaj Mujho Hai Samajh Aayii
Bhool Naa Jaaye Mujhko Woh Apne Ghar Ki Hokar
Is Chintaa Me Kyun Meri Jaan Par Hai Ban Aayi
Soona Soona Meraa Man Aur Soona Yeh Aangan
Ho Jaayega Tujh Bin, Ke Teri Khushboo Hai Yahaan Samaayi
Jaana To Thha Usko Ke Hai Wohi Uskaa Aangan
Par Kar Paoonga Kaise Main Apni Jaan Ki Vidaaii
Saamne Main Uske To Ro Bhi Nahi Saktaa
Par Dil Ko Kaise Samjhaoon Ke Paas Mushkil Ghadi Hai Aayi…
Door Jaa Rahi Hai Jaan Meri Mujhse
Hone Jaa Rahi Hai Behnaa Meri Paraayi