Holi Ke Rango Se Juda Hua Nata
Asman Main Ude Rango Ke Saath Uud Chala
Mohobat Kal Tak Nibhai Thi Maine
Aaj Ansoo Baha Ke Dho Di Maine
Holi Saath Saath Khela Karte The Kabhi
Samadar Ki Lehro Pe Dauda Karte The Kabhil
Wo Nazara Aaj Atit Ban Chala
Phagun Ka Mahina Chate Hi
Rang Bhare Phulo Ke Khilte Hi
Man Udas Ho Uthta Hai
Kun Phagun Ban Ke Aaye The Zindgi Main
Hamesha Ke Liye Patzad Ban Gaye Zindgi Main
Kis Tarah Manau Main Holi
Kaun Se Rango Se Daman Bharu Main Apna
Jahan Har Rang Dikhai De Mujhe Safed Sa