Her Taraf Khauf Bhi, Gam Bhi, Shikayat Bhi Hai,
Zindagi Maut Ki Her Waqt Inayat Bhi Hai.
Derta Her Aadmi Se Aadmi Ab Jaane Fir Kyuin,
Pooja Mandir Me, Masjid Me Ibadat Bhi Hai.
Bheed Ab Roz Lage Yuin Chourahe Per Kyuin,
Sir-Firey Ladte Hain, Ye Unki Virasat Bhi Hai.
Serhadein Pyar Ki Yuin Toot-Ker Nafrat Faili,
Zindagi Maut Se Badker Kyamat Bhi Hai.
Ab Khauf Gam Nafrat Ko Mita Ik Din,
Pyar Wo Hai Shama, Khud Ki Amanat Bhi Hai.