Her Shaks Tavaayaf Hai Or Jist Mujra Hai
Tamannaon Ke Bazaar Mein Duniya Ek Kotha Hai
Jaane Iss Gali Se Aaj Kaun Guzra Hai
Jo Khushiyon Ke Samander Pe-Pe Ker Bebaak Rota Hai
Her Shaks Tavaayaf Hai Or Jist Mujra Hai
Her Aalam Mein Aate Hain Dewaane Kitne
Iss Bazaar Se Jude Hain Fasaane Kitne
Jar-Ra Jarra Ruh Ka Jal Raha Her Taraf
Kitne Aayenge Bujhaane Or Lagaane Kitne
Apni Ruh Ke Jakhmo Ko Sapno Mein Dubota Hai
Her Shaks Tavayaf Hai Or Jist Mujra Hai
Tamannaon Ke Bazaar Mein Duniya Ek Kotha Hai
Zindgi Ki Kadar Jaanne Ke Liye Marna Jaruri
Yaad Reh Jaane Ke Liye Hai Pyaar Kerna Jaruri
Ek Raasta Hai Jo Manzil Hai,Mukaam Hai Or Haansil Bhee
Halaat Kaise Bhee Ho Iss Raah Se Guzarna Jaruri
Aye Khuda Teri Banaayi Duniya Ka Dastur Anokha Hai
Her Shaks Tavayaf Hai Or Jist Mujra Hai
Tamannaon Ke Bazaar Mein Duniya Ek Kotha Hai