Her Roz Tere Hathon Beabru Huye Jate Hain,
Phir Bhee Teri Chaukhat Pe Chale Aate Hain!
Naa Jane Kya Kashish Hain Teri Ankhon Mein,
Jinhe Dekh Sare Harar Kafoor Huye Jate Hain
Gairat-E-Daman To Tab Bhii Nahii Chhuta Thaa,
Jab Wo Dil-E-Ajeej Yaar Humse Rootha Thaa,
Tujhse Kuchh Waise Marasim Bhii Nahii Lagte,
Phir Kyun Tujhe Manane Ko Chale Aate Hai!
Jo Kabhi Mujhe Apna Hamraj Kiye Jate Hain,
Wo Mahfilo Mein Mujhe Begana Batate Hain,
Meri Farmaishe To Dosti Kii Intahaa Lagti Hain,
Wo Hukmarano Kii Tarah Haq Jataye Jate Hain!
Haqikat Ye Hain! Kii Naa Rishte , Naa Naate Hain,
Hum Apne Vahmo-Guman Mein Jiye Jate Hain,
Kambakht Wo Takallufi Se Hath Milate Hain,
Hum Nadan Unko Apna Yaar Batae Jate Hain!