Her Ek Simt Jaga Hai Tv Ka Shore
Na Baqi Raha Kuch Bhee Bachchoan Pe Zoar
Hain Ghar Per Magar Hain Wo Apnoan Se Dur
Ae Kaesa Zamana Hai, Kaesa Hai Daur
Ae Deewar Uchi Utta Hi Giya
Sukun Naam Ki Cheez Baqi Nahin
Ke Jeenae Main Koi Maza Bhee Nahin
Ae Ehsaas Unko Zara Bhee Nahin
Gunahoan Ki Koi Talafi Nahin
Sukun Cheen Ker Dil Jala Hi Giya
Mujhae Yaad Aata Hai Guzra Wo Kal
Ke Beeta Thaa Ulfat Main Her Aek Pal
Ke Izzat Ka Uncha Raha Na Mehel
Mohabbat Ka Chehra Bana Bud-Shakal
Khushi Cheen Ker Ghum Bardha Hi Giya
Ke Dil Dhunta Hai Fursat Ke Din
Wo Ulfat Ke Lamhat, Furqat Ke Din
Udan Chu Hovae Aaj Barkat Ke Din
Kahan Kho Gayae Uski Rehmat Kae Din
Wo Duniya Hamari Hila Hi Giya
Na Rishtoan Main Baqi Raha Apnapan
Ke Kal Tak Bhara Thaa Hamara Sehen
Saja Thaa Sitaroan Se Apna Gagan
Thae Ek Jaan Donoan Ae Bhayee Behen
Ae Uljhan Diloan Ki Bardha Hi Giya