Her Dukh Apne Seeney Me Chupati Hui
Muskuraker Jindgi Ko Aasan Banati Hui
Ek Maan Kaise Katti Hai Apne Dinon Ko
Anubhav Kiya Hai Maine kai Baar
Din Raat Uski Tarap Ko
Jab Andhera Bhi Chaukan Deta Tha/ek Daitya Banker
Aur Seham Seham Ker
Apne Bacchon Ko Apne Ank Me Sametti
Ye Samajhker.Kahin Us Datya Ki Cahya
Bacchon Per Na Aye Maine Dekha Hai Usey
Doosron Ki Galiyan Suntey Hue
Shaher Ke Khas Izzatdaron Ki Dhamkiyan Suntey Hue
Kiske Liye? Uttar Milta Hai Apne Bacchon Ke Liye
Apne Neerh Ke Liye Jo Shayad Apne Hoker Bhi Apne Na Ho Sakeyin
Phir Bhi Unhe Apne Anchal Se Chiptati/unhe Santwana Deti
Pyar Se Samjhati Kyun? Aisa Kyun? Anjana Sa Sawal?
Per Achanak Kahin Door Badlon Ke Oot Se Indradhanush Sa
Aata Ahi Jabab‚  Maan Hoon Na