Hazaron Khahshein Esi Hai K Her Khahish Pe Dam Nikalay
Bohat Nikalay Mere Armaan Lakin Phir B Kam Nikalay
Nikalna Khund Se Adam Ka Suntay Ay Hein Lakin
Bohat Be Abroo Ho Ker Tere Koochay Se Hum Nikalay
Mohabbat Mein Nahi Gar Faraq Jeenay Aor Mernay Ka
Usi Ko Deikh Ker Jeetay Hein Jis Kafir Pe Dam Nikalay
Khuda K Wastay Perda Na Qabay Se Utha Zalim
Kahin Esa Na Ho Yan B Wohee Kafir Sanam Nikalay
Kahan May Khanay Ka Derwaza Aor Kahan Wa Eiz
Per Itna Jantay Hein Kal Woh Jata Tha K Hum Nikalein
Hazaron Khahshein Esi Hein K Her Khahish Pe Dam Nikalay
Bohat Nikalay Mere Armaan Lakin Phir B Kam Nikalay