Hazaron Ke Hai Mele,Per Hum Pad Gaye Hai Akele,
Tanhayee Ne Gherke Hume Khade Kar Diye Hai Kitne Zamele,
Dur Ho Gaye Hai Saaye, Dur Ho Gaye Hai Sambandh Ke Fere,
Main Phool Dhundhne Nikla Tha,Mujhe Mil Gaye Hai Kaante Ghanere
Aash To Karte Hai Per Kaha Pure Hote Hai Sabke Sapne Sunehare,
Mujhse Roshni Muh Pher Gayee,Mere Aas-Paas Hai Bas Andhere Hi Andhere,
Har Baar Haar Gaye Hum To Jitni Baar Bhi Hum Khele,
Gham Sehne Ki Aadat Ho Gayee Hai Kyunki Aab Tak Bas Gham Hi Hai Jhele
Zindagi Pyasi Ho Jaati Hai Jab Chhut Jaate Hai Hathon Se Saagar Gehre,
Katata Nahi Hai Ek-Ek Pal,Rehte Hai Har Pal Bas Unke Hi Pehre,
Bas Woh Hi Hai Nazron Me,Hume Yaad Nahi Hai Aur Koi Chehre,
Reh To Liye Unke Bina Per Har Lamhe Hai Jeevan Ke Thehre