Hazaaron Khawashein Aisi
Ki Har Khwahish Pe Dum Nikle
Bahut Nikle Mere Armaan Lekin
Phir Bhi Kam Nikle
Nikalna Khuld Se Aadam Ka
Sunte Aaye Hain Lekin
Bahut Be-Aabru Hokar
Tere Kuche Se Hum Nikle
Kahan Maikhaane Ka Darwaaza “Ghalib”
Aur Kahaan Waeez
Par Itna Jaante Hain
Kal Wo Jaata Tha Ki Hum Nikle
Mohabbat Me Nahi Hai
Fark Jeene Aur Marne Ka
Usiko Dekhkar Jeete Hain
Jis Kaafir Pe Dum Nikle
Khuda Ke Waste
Parda Nakabi Se Utha Zaalim
Kahin Aisa Na Ho Yon Bhi
Wahi Kaafir Sanam Nikle