Hawa Ki Kaid Mein Tha, Dhoop Ki Hisaar Mein Tha
Ajeeb Haal Musafir Ka Rezgaar Me Tha
Baja Ki Baher-E-Rawa Uske Akhtiyar Mein Tha
Mager Wo Shaks Sarabo Ke Aitbaar Mein Tha
Tamam Umer Usne Sahe War Suraj Ke
Maki Jo Halka-E-Ashjaar-E-Sayadaar Mein Tha
Ajab Thi Zarab, Hawayetalab Ke Haatho Ki
Mera Wajood Her Ek Lamha Intezaar Me Tha
Us Aitbaar Ki Kab Se Talash Hai Mujhko
Wo Aitbaar Dil-E-Tifl-E-Shirkhawaar Me Tha
Main Bhoolta Bhi To Kis Trah Ahd-E-Mazi Ko
Guzarne Wala Her Ek Lamha Jab Shumaar Me Tha
Jo Failta, Hadd-E-Majmu Se Bhi Guzer Jata
Wo Ek Nukta Jo Alfaaz Ke Hisaar Me Tha
Hum Apne Aap Ko Aakhir Samet Te Kaise
Bagawato Ka Fusu Jab Apne Inteshaar Me Tha
Bigadta Banke Kaise Koi Khaka-E-Wafa Kaise
Hawas Ka Rang Jo Shamil Tumhare Pyaar Me Tha