Harr Apna Ek Faasle Pe Khadaa Kyun Nazar Aata Hai
Apnon Ke Chehre Pe Beganiyat Ka Aks Kyun Nazar Ata Hai
Jinke Liye Jante Boojhte Apne Armaanon Ki Sooli Chadhayi
Aaj Harr Woh Shakhs Mujhse Bezaar Kyun Nazar Aata Hai

Baghban Ki Khushi Ki Khatir Mogre Ke Bagh Mein Bo Diye Gulab
Gulab Ka Khar Baghban Ki Ankhon Ko Khatakta Kyun Nazar Ata Hai
Apne Ashkon Se Jin Gulon Ko Shabnam Hum Bakhste Rahe
Aaj Har Woh Phul Ashkon Ki Talkhi Pe Tanz Karta Kyun Nazar Ata Hai
Tarqi Ke Is Daur Ne Tho Regestan Mein Bhi Khila Dee Haryali
Par Mujhe Hara-Bhara Gulshan Bhi Jane Sehra Kyun Nazar Ata Hai
Humne Tho Bure Waqt Mein Apnon Ka Sath Kabhi Nahin
Phir Meri Taqlif Mein Mujhe Har Koi Pith Dikhata Kyun Nazar Ata Hai
Apnon Ke Hote Hue Bhi Lagta Hai Sadiyon Se Tanha Hoon
Mera Mustaqbil Mujhe Andhkar Mein Ghira Kyun Nazar Ata Hai
Kya Apne Hi Meri Muskan Ke Piche Chupe Dard Ko Nahin Pehchante
Phir’heena’har Koi Mujh Pe Bar Bar Ungli Uthata Kyun Nazar Ata Hai