Har Shaam Teri Dehliz Par Sar Jhukate Hain
Maikhanon Ko Teri Yaadon Se Sajaate Hain
Har Ik Bundh Jo Utharthi Hai Apne Sine Mein
Usse Teri Tukraai Ka Ek Inaam Kehlate Hain
Par Peene Se Bhi Tera Chehra Dur Nahi Hota
Nashe Mein Bhi Ashkon Ko Hum Chupate Hain
Aur Phir Jab Suraj Ki Kiran Deti Hai Apni Awaaz
Hum Jhuthi Muskaan Se Dard Ko Dafnate Hain
Kat Jaata Hai Din Bina Koi Khushie Ke Mel Se
Shaam Hote Hi, Phir Peene Chale Aate Hain
Sochti Hai Yeh Badnasib Kyon Aisa Samaa Hai
Ki Ab Maikhanon Se Bhi Kuch Hamare Naate Hain
Kyon Zindagi Ke Har Rang Teri Yaad Dilaate Hain
Kyon Itna Tere Khayalon Mein Mandrate Hain