Har Shaam Dil Ko Dhalne Kii Aadat Sii Ho Gayi,
Har Raat Tanha Jalne Kii Aadat Sii Ho Gayi.
Har Lamha Mujhko Ekk Hii Awaaz Kii Talab,
Har Baat Dil Mein Khalne Kii Aadat Si Ho Gayi
Har Mod Pe Baitha Hun Mein Pehron Teri Khaatir,
Phir Uthke Haath Malne Kii Aadat Si Ho Gayi.
Tu Thaame Raha Daaman-E-Wafa Magar Aye Dil,
Unko To Dal Badalne Kii Aadat Si Ho Gayi.
Jaise Ke Jii Ghabraye Tau Kuchh Sair Ko Chalein,
Ashkon Ko Yun Nikalne Kii Aadat Si Ho Gayi.
Fitrat Hain Izteraabi Aur Naam Bhii Talib
Tabiyat Ko Bhii Machalne Kii Aadat Si Ho Gayi.