Har Samay Nazron Ko Ek Talaash Si Rehti Hai
Saamne Hai Saagar Phir Bhi Kyun Pyaas Si Rehti Hai
Log Dukhi Hote Hain Ghum Ko Padkar
Labon Pe Phir Kyun Unke Tareef Si Rehti Hai
Shabb Bhar Mita_te Rehte Hain Kaali Syahi Si Raat Ko
Savera Hone Par Bhi Wo Kaayam Si Rehti Hai
Mukaam Sa Nazar Aaya Tha Wo Abb Juda Hai Kinare Ki Tarah
Uski Yaadein Phir Bhi Saanson Mein Shaamil Si Rehti Hai
Waqt Se Hardam Ilteza Karte Rehte Hain Roop
Uske Haathon Mein Takdeer Jaise Kaid Si Rehti Hai