Har Sama Ko Baandh Laane Kii Tamanaa Hai
Har Geet Ko Gungunaane Kii Tamanaa Hai
Aakash Ke Ant Mein Bhi Paaw Pahuche Mere
Badalo Ke Ot Mein Lipat Jaane Kii Tamanaa Hai
Baandh Laaoon Saare Sitaaro Ko Daaman Mein
Har Sama Ko Apana Banaane Kii Tamana Hai
Dekha Karati Hoon Sapane Sote Jaagate
Sapno Ko Dharati Par Laane Kii Tamana Hai
Panchhi Achhe Nahi Lagate Band Pinjare Mein
Khule Nile Gagan Mei Udaane Kii Tamana Hai
Band Muthi Ke Juganuo Jaise Meri Chaahate
Vishaal Dishaao Mei Failaane Ki Tamanaa Hai
Kaliya Achhi Lagati Hai Sar-Jameen Par Hii
Jameen Ko Phoolo Se Sajaane Ki Tamanaa Hain
Aate Jaate Pal Ke Sabhi Sapane Mere Apane Ho
Garima-E-Waqt Ko Aajmaane Kii Tamanaa Hain