Har Rishte Ko Har Haal Mein Nibhati Hai Betiyaan
Fir Bhi Unpe Tohmate Lagaati Hai Ye Duniya
Maa-Baap Ki Dehlij Par Janm Jab Leti Hai Betiyaan
Na Jaane Kyu Shauk Me Tabdil Ho Jaati Hain Us Ghar Ki Khushiyaan
Maa-Baap Kyu Nahi Sochte Kuch Din Mehmaan Hain Betiyaan
Chod Wo Dehlij Wo Aangan Ek Din Chali Jaayengi Betiyaan
Ek Roz Ban Maa Mamta Nuochawar Karti Hain Betiyaan
Har Farz B-Khubi Anjaam Deti Hain Betiyaan
Soona Ho Har Aangan Jo Naa Ho Ye Betiyaan
Bekar Hai Har Sawaan Jo Jhule Na Ye Betiyaan
Na Dafn Karo E-Maaon Kokh Me Ye Betiyaan
Tumhare Hi Jism Ka Ek Ansh Hain Ye Betiyaan
Band Kar Do E Haiwaano Khelna Tum Inki Izjat Se
Tumhi Me Se Kisi Ki Maa Kisi Ki Bahan Hain Betiyann