Har Raat Apni Preysi Ke Intjaar Main
Baichen Hokar Nadi Ke Kinare,
Karun Aawaj Main Pukarta Hai
Virah Ki Aag Main Khud Ko Jalakar ,
Pyaar Ke Rang Sanwarta Hai
Subhe Hote Hi Dono Milkar Pyaar Ke Geet Gate Hain
Kushiyon Se Unke Din Gujarte Jaate Hain
Fir Andheri Raat Unke Bichoh Ka Karan Banti Hai
Fir Sari Raat Do Premi Ki Ruh Tarasti Hai
Raat Ki Os Un Ke Ansu Ban Ke Barasti Hai
Barson Ke Intjaar Ke Baad Bhi Jab Wo Panchi Na Thake
To Main Kyu Thakun Jab Bhi Aas Ki Low Dagmagati Hai
Woh Aayenge Jaldi Hi Ye Diwani Pawan Batati Hai
Ye Virah Ki Bela Ek Din To Khtam Hogi,
Kali Ghneri Raat Subhe Ki Lalima Banegi
Kabhi To Wo Din Aayega Jab Suraj Ki Kirne
Is Kali Raat Par Cha Jaayegi Meri Pyaar Bahri Yaaden
Unke Dil Main Halchul Machayengi Fir Yahi Wadiyan Hamare
Milan Ki Gavah Banegi Meri Aankho Ko Chukar Unki Khusbu
Jab Dard Ko Kam Karengi Aaj Bhi Hai In Aankho Ko Intjaar
Wo Sunhari Dhup Ka Aaj Bhi Hai Intjaar Sham Ke Us
Sinduri Rup Ka Jab Wo Panchi Ne Thake To Main Kyu Thkun