Har Pal Jo Chhalakte Hai Meri Palko Se
Wakt -— Be Wakt Ka Inhe Koi Maaina Nahi
Aate Hai, Or Aa Hi Jaate Hai Par
Muje Inse Koi Shikayat Nahi
Haan, Jab Koi Hota Hai Aaspaas
Chahti Hu Ke Aankhe Nam Na Ho
Or Bade Pyaar Se Samhal Bhi Jaate Hai
Muje Inse Koi Shikayat Nahi
Sochti Rahi, Inka Kya Kusur Jab
Ghum Ke Baadal Ghane Hote Hai To
Inka Barasna To Laazmi Hai
Muje Inse Koi Shikayat Nahi
Jaha Par Mera Saaya Bhi Mere Sathh Nahi Raha
Wahaa Bhi In Aanshuao Ne Sathh Diya Hai
Muje Inse Koi Shikayat Nahi
Par Saawan Ke Barasne Ke Baad
Aashmaan Saaf Ho Jaata Hai
To In Aanshuao Ke Barasne Ke Baad
Kyun Dil Saaf Nahi Ho Jaata?
Yah Dil Bhi Kaisa Ghum-E-Samander Hai
Jitna Chhalakta Hai Ootna Hi Ubhar Kar
Or Badhhta Jaata Hai Kya Iska Kahi Kinara Nahi Hota?
Agar Nahi To In Aanshuao Ko Koi Ja Kar Kahe
Yunh Jam Kar Na Barse Inke Barasne Ka Bhi Koi Maaina Nahi Hai
Haan Ab Inke Barasne Se Muje Lakh Shikyat Hai