Har Na-Ummidi Ke Pichhe
Ek Ummid-Si Chingari Jalti Hai..
Bikhari Hui Rah Ki Dhul Bhi Dekho
Jakar Kahi Saherao Me Simtati Hai..
Angaro Se Upar Ki Khak Ko Chhano
Usake Andar Bhi Ek Aag Si Sulagti Hai..
Patjad Me Hi To, Us Chaman Ko
Bahar Ke Aane Ki Khabar Milti Hai..
Jism Mit Bhi Jaye Mitti Me Par
Ruh Ki Saanse To Hamesha Chalti Hai..
Kale Badalo Se Gire Aakash Se Hi
Barish Ki Bunde Chhalakati Hai…
Kadi Dhup Ko Pine Ke Baad Hi,
Rat Me Chandani Nikharti Hai..
Har Naummidi Ke Pichhe
Ek Ummid-Si Chingari Jalti Hai..