Har Mod Par Hai Milti Hasrat Jisam Havas Ki
Har Pyaas Ki Hai Dikhti Chahat Sharab Mein
Ye Hain Isi Jahaan Ki Badli Hui Dishaayein
Bechain Karti Hai Ye Kaalikh Gulab Mein
Jaychand Hai Nahi Ab Koi Fikar Nahi Hai
Jinnah Sa Vatan Ka Ab Katla-Kar Nahi Hai
Koi Nahi Ki Ravan Dikhta Nahi Sahi Mein
Hamshakal To Bohot Hain Lekin Hizab Mein
Mushkil Badi Hai Lekin‚  Ab Bhi Samay Bacha Hai
Dikhti Abhi Bhi Thodi Himmat Ruaab Mein
Hona Ho Chahe Jo Bhi Haarein To Humpe Laanat
Raushan Karein Shama Ko Mausam Kharab Mein
Sachchai Hai Dafan Ab Kabar E Samay Ke Andar
Ab Tham Sa Hi Gaya Wo Insaaf Ka Samandar
Sikka Koi Ho Lekin Pehlu Badal Diya To
Aa Sakti Hai Tamanna Har Aaftab Mein
Ye Vakt Jaanta Hai Subaha Ka Asli Mauka
Par Dum Abhi Hai Baaki Zigar E Janaab Mein
Sab Kuch Khatam Nahi Hai Kuch Hai Abhi Bhi Baaki
Ye Hai Karam Abhi Hain Rasmein Kitaab Mein