Har Mauj Jab Patharo Se Takraati Hai
Chur Chur Ho Kar Sagar Mein Bikhar Jati Hai
Yaado Ke Nishan Nahi Chorti Kabhi Un Per
Ek Pal Hii Sahi‚  Per Pathar Ka Seena Bhi Gila Kar Jati Hai
Chor Kar Sab Khawaish Seene Se Lagati Hai
Kyun In Pathro Se Ishq Ki Chahat Banati Hai
Nahi Janti Kya Pathro Ke Dil Nahi Hote
Yeh Kambhakt Kisi Per Ashiq Nahi Hote
Har Mauj Udhaas Har Mauj Ghumgeen Hai
Apni Kismat Ke Hatho Majbuur Hai
Pathro Se Takrana Aur Chur Ho Jana
Yehi Hai Us Pagal Maujh Ka Afasana